Información de la canción En esta página puedes encontrar la letra de la canción Haq Ali Ali Haq (Manqbat), artista - Ustad Nusrat Fateh Ali Khan. canción del álbum Best of Shahenshah-E-Qawwal Part 8, en el genero
Fecha de emisión: 02.08.2011
Etiqueta de registro: oriental star agencies
Idioma de la canción: swahili
Haq Ali Ali Haq (Manqbat) |
Ali imaam-e-manasto manam Ghulaam-e-Ali |
Hazaar jaan-e-giraamii fidaa-e-naam-e-Ali |
Haidariam qalandaram mastam |
Bandaa-e-Murtaza Ali hastam |
Peshvaa-e-tamaam virdaaram |
Ke sage kuu-e-sher-e-yazdaanam |
Kabhii diivaar hiltii hai, kabhii dar kaanp jaataa hai |
Ali kaa naam sun kar ab bhii Khaibar kaanp jaataa hai |
Shaah-e-mardaan Ali |
Ali Ali Ali |
Ali Maula Ali |
Patthar pe alam deen ka garaa jisne |
Lalkaar kar Marhab ko pichaaraa jisne |
Haq |
Ali Ali Ali |
Ali Maula Ali |
Jap le jap le mere manvaa |
Yahii naam sacchaa hai pyaare |
Yahii naam tere sab dukh haare |
Isii naam kii barkat ne diye raaz-e-haqiiqat khol |
Shaah-e-mardaan Ali |
La fataa illah Ali |
Sher-e-yazdaan Ali |
Tan par Ali, Ali ho zubaan par Al Ali |
Mar jauun to kafan par bhii likhna Ali Ali |
Baghair hubb-e-Ali mudd’aa nahiin miltaa |
Ibaadaton kaa bhii hargiz silaa nahiin miltaa |
Khudaa ke bandon suno ghaur se Khudaa kii qasam |
Jise Ali nahiin milte use Khudaa nahiin miltaa |
Basad talaash na ab kuch vus’at-e-nazar se milaa |
Nishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaa |
Ali mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hamen |
Khudaa ko dhuundha to vo bhi Ali ke ghar se milaa |
Diid Haider kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabii |
Hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabii |
Gul-e-tathiir Ali |
Haq kii shamshiir Ali |
Piiron ke piir Ali |
Dast-e-ilaa kyuun na ho sher-e-Khudaa Ali |
Maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali |
Jis tarah ek Zaat-e-Muhammad hai be-misaal |
Paidaa hu’aa na hogaa ko’ii duusraa Ali |
Bedam yahii to paanch hain maqsuud-e-qaaynaat |
Khairunnisaa, Hasan, Hussain, Mustafaa, Ali |
Haq |
Ali Ali Ali |
Ali Maula Ali |