| --FEMALE-- |
| Aa jaa ke kab milke rab se dua maange |
| Jeevan mein sukoon chaahe, chaahat mein vafa maange |
| Haalaat badalne main ab der na ho maalik |
| Jo de chuke phir yeh andher na ho maalik |
| --CHORUS-- |
| Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahaara |
| Is tere jahan mein nahin koi hamaara |
| (Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le |
| Eeshwar ya allah hai daata) — 2 |
| --FEMALE-- |
| Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahaara |
| Is tere jahan mein nahin koi hamaara |
| (Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le |
| Eeshwar ya allah hai daata) — 2 |
| Humse na dekha jaaye barbaadiyon ka sama |
| Ujdi hui banti mein yeh tadap rahe insaan |
| --CHORUS-- |
| Humse na dekha jaaye barbaadiyon ka sama |
| Ujdi hui banti mein yeh tadap rahe insaan |
| --FEMALE-- |
| Nanhe jismon ke tukde liye khadi hai ek maa |
| Baarood ke dhuen mein tu hi bol jaaye kahan |
| --CHORUS-- |
| Ek tu hi bharosa |
| --FEMALE-- |
| Ek tu hi sahaara |
| --CHORUS-- |
| Is tere jahan mein |
| --FEMALE-- |
| Nahin koi hamaara |
| --CHORUS-- |
| Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le |
| Eeshwar ya allah hai daata |
| --FEMALE-- |
| Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le |
| Eeshwar ya allah hai daata |
| Naadaan hain hum to maalik, kyoon di hamein yeh saza |
| Yahan hai sabhi ke dil mein nafrat ka zaher bhara |
| --CHORUS-- |
| Naadaan hain hum to maalik, kyoon di hamein yeh saza |
| Yahan hai sabhi ke dil mein nafrat ka zaher bhara |
| --FEMALE-- |
| Inhe phir se yaad dila de sabak vohi pyaar ka |
| Ban jaaye gulshan phir se kaanton bhari duniya |
| Ek tu hi bharosa, ek tu hi sahaara |
| Is tere jahan mein nahin koi hamaara |
| Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le |
| Eeshwar ya allah hai daata |
| --CHORUS-- |
| Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le |
| Eeshwar ya allah hai daata |
| --FEMALE-- |
| (Meri pukaar sun le) |
| --CHORUS-- |
| Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le |
| Eeshwar ya allah hai daata |
| --FEMALE-- |
| (Hey eeshwar ya allah) |
| --CHORUS-- |
| (Eeshwar ya allah, yeh pukaar sun le |
| Eeshwar ya allah hai daata) — 3 |
| --FEMALE-- |
| (Meri pukaar sun le, meri pukaar sun le, meri pukaar sun le) |