Información de la canción En esta página puedes encontrar la letra de la canción Baarish, artista - Brayne Deadcanción del álbum Putrapaksh, en el genero Иностранный рэп и хип-хоп
Fecha de emisión: 15.01.2019
Etiqueta de registro: Gravity
Idioma de la canción: swahili
Baarish |
Garajne do inn badalon ko, aana yeh toofan hai |
Khud ki hi khushi ne khudkhushi jo ki toh jaan yeh |
Sunne waali na hai ab yeh shanti ki sifarishein |
Sab tabah hai karne waali jwala ki yeh baarishein. (x2) |
Garajne do, barasne do, iss aag ko chakhne do |
Garajne do, barasne do, iss aag ko chakhne do |
Garajne do, barasne do, iss aag ko chakhne do |
Terne ki chaah mai, humko jalne do |
Thoke hai kitne darwazein par aakhir mai khola unhone jo khud hi garib the |
Pucha anjaano ne haal par aakhir mai bhule wohi jo kabhi karib the |
Jode lakir ko jaise yeh naksha hai, paisa yeh pagalpan hai ya yeh nasha hai? |
Kaise iss bojh ke niche tu daba hai? Zindagi dhokha aur maut bewafa hai |
Saza hai faasi aur saasein bhi raazi |
Par mera junoon kyu iske khilaaf hai? |
Badla yeh baaki aur maut se rakhi |
Bandhwane ke liye bujhana siraj hai |
Jo bhi tu bole, ho raja ya raani girana unhe hai jaise yeh taash hai |
Apni hi chhati ko chir ke dil pe aag lagakar ab karna raakh hai! |
Maine khake thokar, bana sabka joker |
Raatein kaati rokar, kaaton pe bhi sokar |
Apne prayashchit mai khudko jaake dhokar dekho mai ab bhi hu kaam ka! |
Jalta badalon ke upar mai jaakar toh ab na darr mujhe barsaat ka |
Baarish yeh mujhko kar de tabah, na gham hai mujhe iss baat ka |
Garajne do inn badalon ko, aana yeh toofan hai |
Khud ki hi khushi ne khudkhushi jo ki toh jaan yeh |
Sunne waali na hai ab yeh shanti ki sifarishein |
Sab tabah hai karne waali jwala ki yeh baarishein. (x2) |
Garajne do, barasne do, iss aag ko chakhne do |
Garajne do, barasne do, iss aag ko chakhne do |
Garajne do, barasne do, iss aag ko chakhne do |
Terne ki chaah mai, humko jalne do |
Samandaron ki lehron sa na behta yeh vishwas hai |
Yeh gussa ashirwad hai ya mujhpe koi shraap hai? |
Mai haara hu ya jeeta yeh samajh na aata bhaagte |
Jo ruk bhi jaaye haafne toh maat ko sidharte |
Mai thak chuka hu bhagke, baras raha hai aag yeh |
Jharno mai hum jaagte, woh sukhe hai aur baadh yeh |
Bas leke aa rahi hai jwala, mujhko karne raakh yeh |
Bacha na payegi mujhe ab shaanti ki jo dhaal yeh |
Toh daal ab yeh baat apne mann mai |
Jal raha mera badan yeh, gusse ke ab behte jharne |
Hone wala hai ab mere haathon adharm yeh |
Krodh ne banaya kaatil mujhe |
Iss jwala ki baarish mai bheeg chuka mai |
Khoon yeh mere haathon pe hai lag chuka |
Mai aaya lakeer mitaane |
Garajne do inn badalon ko, aana yeh toofan hai |
Khud ki hi khushi ne khudkhushi jo ki toh jaan yeh |
Sunne waali na hai ab yeh shanti ki sifarishein |
Sab tabah hai karne waali jwala ki yeh baarishein! |