Información de la canción En esta página puedes encontrar la letra de la canción Mohre, artista - Gravity. canción del álbum Prashna Chinha, en el genero Рэп и хип-хоп
Fecha de emisión: 06.09.2018
Etiqueta de registro: ATKT.in
Idioma de la canción: swahili
Mohre |
Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai |
Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee |
Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi |
Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi |
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre |
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre |
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre |
Khaule, khaule, fir kyu na khoon yeh khaule? |
Mohre, mohre, yeh ban chuke mohre |
Hai kitne na jaane sahe dil ke daure |
Yeh jeete jaagte bas maange hai mohre |
Jaha dikhta paisa, waha ko hi daude yeh |
Kaise aise kaise karte sawaal? |
Yeh karte gunaah, fir karte gumrah |
Mudte-mudte sidhe na jaa saka |
Udte-udte niche aa na saka |
Tujhe paise ki talaash hai |
Tujhe poore karne khwab hai |
Mutthi mai karni hai duniya |
Par tere raaste na saaf hai |
Mohra banne ki hi aas hai |
Yehi tera itihaas hai |
Kisse tu karta fariyad hai? |
Tera na koi bhagwan hai |
Tera na koi wajood hai |
Tere na koi haalat hai |
Mohro se bandha samaj hai toh |
Tu uska bhadda mazaak hai |
Zinda kyu rehta hai aise jab |
Khudpe na ab tujhko naaz hai |
Raaz hai, raaz hai, mera bhi aisa jo mai hu chhupata |
Mai khud hu ek mohra par tujhe sunata |
Hai mere jaise kaafi rehte yaha pe |
Aata na kuch, kaafi kehte yaha pe |
Sone ke mohro ki kya hai zaroorat? |
Mujhe zaroorat hai chain ki neend ki |
Fir bhi chahu mujhe mil jaaye paisa |
Neeyat meri toh hai banjar zameen si |
Mohre, mohre, apne aap ko kho rahe |
Khudki aatma tode, apne daag na dho rahe |
Apni jaan marode, iss saatve ghode par hai suraj ke saamne hum raakh hai ho rahe |
Jeete jaagte saare marte yaha par |
Kho chuke khudko ab dhundhe kaha par? |
Kaise soye hai yeh kuch bhi na paakar? |
Kholo aakhein, bhaago kyuki |
Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai |
Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee |
Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi |
Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi |
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre |
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre |
Mohre, mohre, ban chuke saare yeh mohre |
Khaule, khaule, fir kyu na khoon yeh khaule? |
Mohre, ban chuke saare yeh mohre! |
Mohre, ban chuke saare yeh mohre! |
Karna na chahe baatein, saare zinda laashein hai yeh |
Kathputli bin dhaago ke hai chalte saare |
Maine mann ke andar dhundhe jab khazaane |
Nikla bas jhooth, ghulami ke kaabil hi reh chuke saare hai |
Kaale jaadu ko ab mann mai hai paale yeh |
Mohra mai, mohra mai, mohra tu, mohro pe mohar lagi hai naadani ki |
Galti hamari, hum karte ghulami, sar-aakhon hai rakhte yeh baatein madaari ki |
Naachein ishaaro pe, itne hai saal guzare iss bandhan mai |
Ginti khatam hui meri sitaaron ki |
Kitne hazaaron mai hoge inn sapno ki laashein |
Jalaade, par kaise, na koi aulad jo chita jalade |
Kuch ko toh zinda hi gaadhe, par tujhko na fark padega? |
Kahega ki maine bhi di hai sapno ki kurbaani |
Par aaj aaram haram aur paisa aur gaadi |
Aur jebein na khali, aur ladkiyan saari |
Hai meri deewani. Kaise ayega tu pul ke iss paar? |
Aiyashi ke sheeshe mai khudko ubhaarkar |
Aatma kho di tune sab kuch hai paakar |
Kholo aakhe, bhaago, kyuki |
Yaha par aakh bhi ladai toh fir aag si ladai |
Jala kar raakh karte woh ban jayenge harjayee |
Aaj andhere mai hai hone waali saari yeh tabahi |
Din mai hum uthaye laashein, mar chuki hai begunahi |
GRRRAV! |