| Har sawaal ek jawaab ka mohtaaj hai |
| Har jawaab ka astitva ek sawaal hai |
| Par kya aisa koi hai sawaal jiska jawaab ek sawaal hai? |
| (Dharma jaat chhod tu, manushyata ka ban nabhi.) |
| Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha |
| Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha |
| Jite hum jo zindagi woh dekho kitni hai vibhinn |
| Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha. |
| Kya ek sawaal ke liye, logon ne jaane gavayi hai? |
| Kaafi baar, toh kya vichaar, kyu na dikkar? |
| Hoti hatyaen, na aise hota koi jaanisaar |
| Na koi adhyaay, na kisi ko samjhi baarikta |
| Kya baalik naar? Nabaalik vaar, ab na yeh Shalimar! |
| Na Hindustan, na Pakistan, na hai saamajikta |
| Sawaal hai, swarth ya hai bina wajah ki kaalikh ka |
| Sab hai bikau, jaise yeh raaj kisi tawaif ka |
| Tabahi ka, yeh naya daur hua aarambh hai |
| Shanti ki zarurat, dikhta na Ashok stambh hai |
| Asmanjas mai hu main par koi aur na dikhta dangh hai |
| Sunaai na deta kuch bhi bas dikhta yeh laal rang hai |
| Khaya sabne kya hai badduaon ke alawa? |
| Seecha sabne khud hai yeh duaon ka chhalawa |
| Kehte mujhko neech aur adharmi aur shaitan |
| Kyuki kehta mai sachchai aur woh karti hai hairaan! Ha! |
| Jo karte paap unko kehte punya aatma hai |
| Ek roti baat kar woh ban jaata mahatma hai |
| Hai katl-e-aam karke fir banata raasta hai |
| Aise logon se mera na koi vaasta hai |
| Kala ke naam pe yeh bechte vaasna hai |
| Sabke paas gyaan, khana, paani aur koi aas na hai |
| Upar koi bhagwan nahi toh karte kisse prarthna hai |
| Woh hota upar toh sab kuch na hota aaj sa, yeh |
| Zindagi khel nahi par hum logon se khelte hai |
| Humse jo khelte hum unn logon ko jhelte hai |
| Issi wajah se aaj dilon mai sannatta hai |
| Jiske saath jaisa hota hai woh waisa hi ban jaata hai |
| Toh pehla hai sawaal, ke tu kaisa insan hai? |
| Dusra hai sawaal, tere kitne balidaan hai? |
| Teesra, teri harkaton se kitne pareshan hai? |
| Aur choutha, tere chouthe ke liye kaun betaab hai? |
| Inn chaaron ka jawaab hi banega ek sawaal |
| Woh sawaal aisa hoga jiska na hoga jawaab |
| Uss sawaal ka jawaab hai woh gyaan jisse paane ke liye naakaam hai yeh koshishe |
| tamam |
| Kya tere paas woh sawaal hai? |
| Tujhe kya mila woh jawaab hai? |